Monday, January 13, 2020

Jeevan ka dastur. Uska surur.

Aasha aur jigyasa ki koi Seema nahin hoti.
Jud jati ha jab koi aata ha..
chut jati ha jab koi jata ha..
Jeevan ka yahi dastur ha..

Aasha ke sahare jeete Hain .
Jigyasa se agey badte Hain..
Moh Maya se bandhe jeevan mein badhte Hain..
Yahi jeevan ka dastur ha..

Ek Buddha hi tha..
Jisne ye sach jo jana tha..
Hum toh bas sochte ha..
Buddha ne to ye satya jiya tha..
Jeevan ka yahi dastur ha...

Aaj koi Asha se juda ha..
To koi Jigyasa se...
Jeevan badh raha ha agey..
Bas ek tinke ke dorr se..
Yahi jeevan ka surur ha... Yahi jeevan ka surur ha ..

Sunday, January 12, 2020

Zindagi Choti ha...

Zindagi choti ha...
Bhul jate ha log apno ko..
Chal padte ha kisi nay more...
Zindagi choti ha...

Milte hain log kisi more...
Judte hain nay taar..
Nikal padte hain nay rah ki aur...
Zindagi choti ha...

Bhoolte ha log...
Chut ta ha daman ka dorr...
Chut ta nahin yaadon ka dorr..
Zindagi choti ha ..

Yaadon mein baste hain...
Apne log...
Kiche chale jate ha usi morr..
Zindagi choti ha... Choti ha..

Thursday, December 5, 2019

It's lonely... World is made so... We fill it... It's no lonely... World is made so...

It's lonely here....
World is made so ..

Living beings fill it...
The way they wishes to..
Cheer and happiness is all what we got ...
But sad and sorrow follow...
It's all lonely here .
World is made so...

Sounds are made...
Love is spread..
Hope is kindled...
Peace is made..

It's not lonely here..
World is made so...

Sunday, August 18, 2019

Good old days.. I left them...

Good old days...
I left them...

I was young in those days...
Immature nascent those days..
Learning to find feather...
Moving against the current of time...
Good old days...
I left them...

Met new friends....
Made my first girl friend...
Slept late in hostel days...
Ran for intenrship all day long...
Good old days...
I left them...

Got my first job ...
Worked my way to the top...
Had one temp who rose to places...
Built team which fought like whale...
Married at twenty nine...
Had family at thirty four....
Good old days....
I left them...

I sit here at sixty nine...
Living memory lane...
Reunion at this age...
Wish I knew those were good old days...
Before I left them...

Good old days.....
I left them...

Saturday, January 5, 2019

Aaina hun mein..

Todta rehta hun mein....
kabhi jhuth kabhi gurur...
fir bi koi tod saka na mujhe...

Badalte rehte hai mere samne...
kabhi log toh kabhi unke range...
kabhi sachai toh kabhi jhuth...
fir bi badalta nahin mein....

Chamakta hun ...
kabhi dhoop se toh kabhi bheege kapde se...
fir bi badalta nahin mera kaam...

Jarurarat hoti ha meri..
kabhi khusi mein toh kabhi gum mein...
kabhi ache samay mein toh kabhi bure samay mein..
fir bi bhawnaon se paree hun mein...

Gira diya jata hun mein...
tod diya jata hun mein...
fir bi apna kaam pura karta hun mein..

Aaina hun mein...
dikhata hun sabko unke asli chehre...
fir bi kisi ko judge nahin karta mein...

Aaina hun mein... aaina hun mein...




Sunday, December 23, 2018

Kyun ha aisi Hazar khawahish

Na tune dekha..
Na maine dekha...
Fir dekh sakaa na koi ..


Na tune suna.
Na maine suna..
Fir sun sake na koi.

Na tune chua...
Na maine chua.
Fir chu sake na koi ...

Na teri khwahish.
Na meri khwahish ...
Fir kisi ki na hui ye khwahish.  .

Kyu hain fir aisi Hazar khwahish....

Tuesday, October 2, 2018

A tribute to farmers...

Subah ho ya shaam...
bhula chala tu vishram...
khud ke liye nahin auron ke liye....
karta chala tu kaam...

maati se anaj nahin...
uga raha ha to jan jivan ke pran...
dhoop ho chaaw...
karta chala tu kaam...

barish ruke ya dhup ruthe...
bhool jata ha aaram...
chinta kare auron ke liye...
karta chala tu kaam...

garmi ho ya barsaat...
karte chale tu apna kaam...
kum mange...
jyada de..
tera ha kaam...

bhule chale apne dukh ko....
Jab lehrate ha khet..
anaj nahin ugata ha tu jan jeevan ke prann..
karta chale tu kaam....