Saturday, January 5, 2019

Aaina hun mein..

Todta rehta hun mein....
kabhi jhuth kabhi gurur...
fir bi koi tod saka na mujhe...

Badalte rehte hai mere samne...
kabhi log toh kabhi unke range...
kabhi sachai toh kabhi jhuth...
fir bi badalta nahin mein....

Chamakta hun ...
kabhi dhoop se toh kabhi bheege kapde se...
fir bi badalta nahin mera kaam...

Jarurarat hoti ha meri..
kabhi khusi mein toh kabhi gum mein...
kabhi ache samay mein toh kabhi bure samay mein..
fir bi bhawnaon se paree hun mein...

Gira diya jata hun mein...
tod diya jata hun mein...
fir bi apna kaam pura karta hun mein..

Aaina hun mein...
dikhata hun sabko unke asli chehre...
fir bi kisi ko judge nahin karta mein...

Aaina hun mein... aaina hun mein...




No comments: