Thursday, February 18, 2016

Patta (Leaf)-

Patta hun mein
dal se tuta hoon
sakh ka saath chuta ha
hawa ke jhokh se bahunga
kisi na kisi ka saath milega
mitti hi sahi par kisi na kisi kaam aunga
kal tak dal ki shan badai, khud ke liye khana banaya
ab dal se tuta hoon, dusron ke liye mitti mein milkar khana banunga
patta hun mein har wakht kisi na kisi kaam aunga....
patta hun mein...patta hun mein.....

No comments: