Thursday, July 12, 2018

Walking down old lane

Usi purani rah pe nikal para hun...
Nanhe nanhe hathon se mamta ko Chune chala hun...
Baap ki god pe uchhal pada hun...
Dada dadi ki lori ko yaad kar Raha hun...
Usi purani rah pe chal para hun...

Bilakhte bilakhte maa ki aur daud pada hun...
Rote rote kissa byan kar chala hun...
Pag uthate hue maa ki aankhon ki chamak dekh raha hun...
School ke pehle din ko yaad kar Raha hun...
Usi purani rah par chal para hun...

Jeevan ke pehle dost ki talash kar raha hun..
School ke pehle report card ko Nihar Raha hun...
Melody chocolate ki swaad Ko chatakh Raha hun...
Usi purani rah par nikal para hun...

Bachpan ko yaad karte karte aaj ko bhul gaya hun...
Purane sikkon se bite hue kal ki chamak dhundh Raha hun ....
Bite hue pal mein Bachpan dhundh raha hun...
Usi purani rah par nikal para hun... Nikal para hun...

No comments: