Saturday, September 8, 2018

A tribute to The Women

Samay ek pahiya ha..
 isse bhi kisi ki talash ha....
Ruki ha Kyun tu... Khud mein tu ek vishwash hain...
Sabko teri talash ha...

Digmig nahin seedhi teri chaal ha...
Roke na koi raasta tera tujh mein ye baat hai...
Bediyaan nahin faulad teri pehchaan ha....
Tu chal jara..
Sabko teri talash ha...

Gehne nahin atma Vishwas teri pehchaan ha...
Khud ko nahin dusro Ko sambhalna teri pehchaan ha..
Waqt ke pahiye ko agey badhana tera kaam ha...
Tu chal jara..
Sabko teri talash ha...

Haq nahin kisiko tujhe se sawal karna...
Par jawab dena teri pehchaan ha...
Dhundhlate andhiyare mein tu ek prakash ha..
Tu chal jara ....
sabko teri talash haaa...

Nari ha tu.. .
Koi khilona nahin..
Dusro ke wajud ka tu praman ha. .
Pehchan tujhse ha warna koi Imaan nahin...
Tu chal jara...
Dekh piche tere Sara sansar ha...
Sabko teri talash ha....

No comments: